Ek akeli me
Ush din bhi akash me tare utne hi thi
Chandrama utni sundar
Apni shital snigdh chhaya bikhrati
Aur rat utni hi gehri khamosh.
Prashna pe prashna kiye gaye
Prashno ke chakrabuya me, ek akeli me
Kintu niruttar me
Ankhein meri sunyata ki taraf.
Pooja prathana rachana
Achanak tham si gaye
Samay jaise ruk sa gaya
Khawab sare khamosh ho gaye.
Prashno ke chakrabuya me, ek akeli me
Ankhein meri sunyata ki taraf.
Sachai etni kadwi thi ki ush ke sath jhut ki shehad mila ke pi gayee. Ush jhut ne aur thodi der thodi si hansi di aur thode kam ansu bahaye. Par sach ko ek din accept kar na hi tha, nahi to jhut ek bimari ban jati mere liye.
Sach me agar kisi ne pyar ko andha kaha to bahut hi sahi kaha hai. Sahi aur galat soch ne ka mauka hi nahi milta, agar etna hisab karte to shayad woh pyar nahi hota.